Jai shri krishna..
Jai shree krishnaa     Ek nadi ke kinare 3-4 dost khde the unnhone dekha ki nadi me ek kambal (blanket) bhahta hua aa raha hai .ek dost ne vichar kiyaki mai yaha kambal nadi me se nikaal kar le aaoo or us ne nadi me chhalaang laga dee.jab vaha tairtaa hua kambal ke paas pahoocha kar usne use pakra toh dekha ki vaha ek reechh (bear)hai usne phir us reechh ko chhodna chahaa par ab reechh ne use pakar liya aur usko apne saath lekar bahah chala .kinare par kharde dosto nedekha ki isse kambal to kheechaa nahee ja rahaa hai paruntu yahi uske saath bhaane hai toh unnhone aavaaz lagaaee ki kambal nahee nikal rahaa to too hee kambal ko chhord kar nikal aa par vaha kaise nikle use toh reechh ne pakard rakha hai..................Yahee sthithee hamaaree hai parmatma ne hume maushya yoni dee ,iss sansaar se muktee ke liye aur hum vaasnaa roopi kambal ke moh me phanss gaye aur sansaar me bahane lage .ab hum uusko chhord hee nahee pa rahe hai isiliye geeta me Bhagavan ne kaha hai ki vishshyao ka chintan karne vale puroosh ki un vishshyao me aasaktee ho jaati hai,aasaktee se kamna ,kaamnaa me vhighn (disturbance) pardne se krodh ,krodh se moordh bhav (foolishness) moordh bahv se smritee bhramm ,smritee bhramm se budhdhee(jnanshakti) ka naash aur budhdhee kaa naash ho jaane par ,yaha puroosh apnee sthitee se gir jataa hai .